SEBI के साथ 67,000 करोड़ का घोटाला🥶💸 | SEBI Latest News

SEBI के साथ 67,000 करोड़ का घोटाला🥶💸 | SEBI Latest News

SEBI says 67228 crore rupees are ‘Hard to Recover’

Udhar le ke paise na lautane wale kewal aam aadmiyon ka hi sir dard nahi hote, stock market ki gatividhiyon par nazar rakhne wali sanstha SEBI bhi ab to inse pareshan rahti hai. SEBI ki nayi report to yahi batati hai.

Hal hi me aayi report ke anusar SEBI ne March 2022 me kareeb 67228 crore rupyon ko Difficult to recover yani aisi category me dal diya hai jiska matlab ye hai ki ab inhen vasoolane ki sambhavna na ke barabar hai. Iske alawa ye bhi pata chala hai ki SEBI ko kareeb 96609 rupye abhi vasoolane baki hain jinme vo jurmana bhi shamil hai jo isne companies par alag alag karanon se lagaya hai.

Aur in rupyon me 65% hissa Collective Investment Scheme aur PACL Ltd. aur Sahara India Corporation Limited ke public issue se milne wale the aur chunki abhi in dono companies se related mukadma court me chal rha hai aur SEBI bhi sunvai ka hissa hai to shayad salon lag jaye ise recover karne me.

Halanki SEBI ka ye bhi kahna hai ki is sal aisi companies ki sankhya 59 hai jo pichale sal ki tulna me kafi kam hai. Pichale sal ye sankhya 94 thi

Galat gatividhiyon ko rokane wali sanstha jo ye wada karti hai ki investors ka paisa har halat me bachaya jayega uske liye ye kafi nirashajanak sthiti hai. Lekin umeed yahi hai ki SEBI itni badi rakam vasulne me safal ho hi jayegi.

sebi latest news,sebi latest salary,sebi latest news on margin,sebi latest notification,sebi latest news in hindi,sebi latest news today,sebi latest news about pacl refund,latest stock market news

#sebi #shorts #stockmarketindia #adigitalblogger

社会・政治ニュース動画カテゴリの最新記事